chheḌo to us hasīn ko chheḌo jo yaar ho
aisī ḳhatā karo jo adab meñ shumār ho
baiThī hai tohmatoñ meñ vafā yuuñ ghirī huī
jaise kisī hasīn kī gardan meñ baar ho
din raat mujh pe karte ho kitne hasīn zulm
bilkul mirī pasand ke muḳhtār-e-kār ho
kitne uruuj par bhī ho mausam bahār kā
hai phuul sirf vo jo sar-e-zulf-e-yār ho
ik sachchā pyaar hī nahīñ bas yaar ai 'adam'
jaañ vaar do agar koī jhūTā bhī yaar ho