mai-kada thā chāñdnī thī maiñ na thā
ik mujassam be-ḳhudī thī maiñ na thā
ishq jab dam toḌtā thā tum na the
maut jab sar dhun rahī thī maiñ na thā
tuur par chheḌā thā jis ne aap ko
vo mirī dīvāngī thī maiñ na thā
vo hasīñ baiThā thā jab mere qarīb
lazzat-e-ham-sā.egī thī maiñ na thā
mai-kade ke moḌ par ruktī huī
muddatoñ kī tishnagī thī maiñ na thā
thī haqīqat kuchh mirī to is qadar
us hasīñ kī dil-lagī thī maiñ na thā
maiñ aur us ġhuncha-dahan kī aarzū
aarzū kī sādgī thī maiñ na thā
jis ne mah-pāroñ ke dil pighlā diye
vo to merī shā.erī thī maiñ na thā
gesuoñ ke saa.e meñ ārām-kash
sar-barahna zindagī thī maiñ na thā
dair o ka.aba meñ 'adam' hairat-farosh
do-jahāñ kī bad-zanī thī maiñ na thā