taklīf miT ga.ī magar ehsās rah gayā
ḳhush huuñ ki kuchh na kuchh to mire paas rah gayā
pal-bhar meñ us kī shakl na aa.ī agar nazar
yak-dam ulajh ke rishta-e-anfās rah gayā
photo meñ dil kī choT na tabdīl ho sakī
naqleñ utaar utaar ke akkās rah gayā
vo jhūTe motiyoñ kī chamak par phisal ga.ī
maiñ haath meñ liye hue almās rah gayā
ik ham-safar ko kho ke ye hālat huī 'adam'
jañgal meñ jis tarah koī be-ās rah gayā