kisī ke naqsh-e-qadam kā nishāñ nahīñ miltā
vo rahguzar huuñ jise kārvāñ nahīñ miltā
qadam qadam pe tirī raah meñ falak haa.il
mujhe talāsh se bhī āsmāñ nahīñ miltā
unheñ tarīqa-e-lutf-o-karam nahīñ mālūm
hameñ salīqa-e-āh-o-fuġhāñ nahīñ miltā
urūs-e-dahr ko ġhāza bhī chāhiye lekin
ġhubār-e-jāda-e-amn-o-amāñ nahīñ miltā
dhaḌak rahā hai har ahl-e-vafā ke siine meñ
hamārā dard bharā dil kahāñ nahīñ miltā
sabhī ko da.ava-e-mahr-o-vafā hai duniyā meñ
jo mehrbāñ na ho vo mehrbāñ nahīñ miltā
ġham-e-hayāt ke pur-haul qahqahoñ ke sivā
kahīñ se apnā javāb-e-fuġhāñ nahīñ miltā
dil-e-shikasta ko le jā.iye kahāñ 'bāsit'
dimāġh-e-naḳhvat-e-shīsha-garāñ nahīñ miltā