Abdul Hamid Adam

wo suraj itna nazdik aa raha hai

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
vo sūraj itnā nazdīk aa rahā hai
mirī hastī kā saaya jā rahā hai
ḳhudā kā aasrā tum de ga.e the
ḳhudā hī aaj tak kaam aa rahā hai
bikharnā aur phir un gesuoñ kā
do-ālam par añdherā chhā rahā hai
javānī aa.ina le kar khaḌī hai
bahāroñ ko pasīna aa rahā hai
kuchh aise aa.ī hai bād-e-muāfiq
kinārā duur haTtā jā rahā hai
ġham-e-fardā kā istiqbāl karne
ḳhayāl-e-ahd-e-māzī aa rahā hai
vo itne be-muravvat to nahīñ the
koī qasdan unheñ bahkā rahā hai
kuchh is pākīzgī se kī hai tauba
ḳhayāloñ par nasha sā chhā rahā hai
zarūrat hai ki baḌhtī jā rahī hai
zamāna hai ki ghaTtā jā rahā hai
hujūm-e-tishnagī kī raushnī meñ
zamīr-e-mai-kada tharrā rahā hai
ḳhudā mahfūz rakkhe kashtiyoñ ko
baḌī shiddat kā tūfāñ aa rahā hai
koī pichhle pahar dariyā-kināre
sitāroñ kī dhunoñ par gā rahā hai
zarā āvāz denā zindagī ko
'adam' irshād kuchh farmā rahā hai
Top Urdushayar.com