Abdul Hamid Adam

kashti chala raha hai magar kis ada ke sath

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
kashtī chalā rahā hai magar kis adā ke saath
ham bhī na Duub jaa.eñ kahīñ nā-ḳhudā ke saath
dil kī talab paḌī hai to aayā hai yaad ab
vo to chalā gayā thā kisī dilrubā ke saath
jab se chalī hai aadam o yazdāñ kī dāstāñ
har bā-vafā kā rabt hai ik bevafā ke saath
mehmān mezbāñ hī ko bahkā ke le uḌā
ḳhushbū-e-gul bhī ghuum rahī hai sabā ke saath
pīr-e-muġhāñ se ham ko koī bair to nahīñ
thoḌā sā iḳhtilāf hai mard-e-ḳhudā ke saath
shaiḳh aur bahisht kitne ta.ajjub kī baat hai
yā-rab ye zulm ḳhuld kī āb-o-havā ke saath
paḌhtā namāz maiñ bhī huuñ par ittifāq se
uThtā huuñ nisf raat ko dil kī sadā ke saath
mahshar kā ḳhair kuchh bhī natīja ho ai 'adam'
kuchh guftugū to khul ke kareñge ḳhudā ke saath
Top Urdushayar.com