ab do-ālam se sadā-e-sāz aatī hai mujhe
dil kī aahaT se tirī āvāz aatī hai mujhe
jhaaḌ kar gard-e-ġham-e-hastī ko uḌ jā.ūñgā maiñ
be-ḳhabar aisī bhī ik parvāz aatī hai mujhe
yā samā.at kā bharam hai yā kisī naġhme kī guuñj
ek pahchānī huī āvāz aatī hai mujhe
kis ne kholā hai havā meñ gesuoñ ko naaz se
narm-rau barsāt kī āvāz aatī hai mujhe
us kī nāzuk uñgliyoñ ko dekh kar aksar 'adam'
ek halkī sī sadā-e-sāz aatī hai mujhe