khulī vo zulf to pahlī hasīn raat huī
uThī vo aañkh to taḳhlīq-e-kā.enāt huī
ḳhudā ne gaḌ.h to diyā ālam-e-vajūd magar
sajāvaToñ kī binā auratoñ kī zaat huī
gile bahut the magar jab nazar nazar se milī!
na mujh se baat huī aur na un se baat huī
dil-e-tabāh ko kuchh aur kar ga.ī zaḳhmī!
vo ik nigāh jo labrez-e-iltifāt huī
hayāt o maut kī ġhārat-garī kā haal na pūchh
jo maut na ban sakī vo 'adam' hayāt huī