Abdul Hamid Adam

lahra ke jhum jhum ke la muskura ke la

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
lahrā ke jhuum jhuum ke lā muskurā ke lā
phūloñ ke ras meñ chāñd kī kirneñ milā ke lā
kahte haiñ umr-e-rafta kabhī lauTtī nahīñ
jā mai-kade se merī javānī uThā ke lā
sāġhar-shikan hai shaiḳh-e-balā-nosh kī nazar
shīshe ko zer-e-dāman-e-rañgīñ chhupā ke lā
kyuuñ jā rahī hai ruuTh ke rañgīnī-e-bahār
jā ek martaba use phir varġhalā ke lā
dekhī nahīñ hai tū ne kabhī zindagī kī lahr
achchhā to jā 'adam' kī surāhī uThā ke lā
Top Urdushayar.com