mohtāt o hoshiyār to be-intihā huuñ maiñ
amdan tirā fareb-e-nazar khā gayā huuñ maiñ
kyā ye subūt kam nahīñ merī vafāoñ kā
maiñ aap kah rahā huuñ bahut bevafā huuñ maiñ
aise girā huuñ terī ḳhudā.ī ke sāmne
mahsūs ho rahā hai ḳhudā ho gayā huuñ maiñ
mere sukūt ko mirī āvāz mat samajh
is pairahan meñ tere sitam kī sadā huuñ maiñ
ye intihā hai mere adab kī ki ai 'adam'
us kā vajūd ho ke bhī us se judā huuñ maiñ