munqalib sūrat-e-hālāt bhī ho jaatī hai
din bhale hoñ to karāmāt bhī ho jaatī hai
husn ko aatā hai jab apnī zarūrat kā ḳhayāl
ishq par lutf kī barsāt bhī ho jaatī hai
dair o ka.aba hī is kā na ta.alluq samjho
zindagī hai ye ḳharābāt bhī ho jaatī hai
jabr se tā.at-e-yazdāñ bhī hai bār-e-ḳhātir
pyaar se ādat-e-ḳhidmāt bhī ho jaatī hai
dāvar-e-hashr mujhe apnā musāhib na samajh
ba.az auqāt kharī baat bhī ho jaatī hai
hashr meñ le ke chalo mutrib o ma.ashūq o subū
ġhair ke ghar meñ kabhī raat bhī ho jaatī hai
ba.az auqāt kisī aur ke milne se 'adam'
apnī hastī se mulāqāt bhī ho jaatī hai