āñkhoñ se tirī zulf kā saaya nahīñ jaatā
ārām jo dekhā hai bhulāyā nahīñ jaatā
allāh-re nādān javānī kī umañgeñ!
jaise koī bāzār sajāyā nahīñ jaatā
āñkhoñ se pilāte raho sāġhar meñ na Daalo
ab ham se koī jaam uThāyā nahīñ jaatā
bole koī hañs kar to chhiḌak dete haiñ jaañ bhī
lekin koī rūThe to manāyā nahīñ jaatā
jis taar ko chheḌeñ vahī fariyād-ba-lab hai
ab ham se 'adam' saaz bajāyā nahīñ jaatā