Abdul Hamid Adam

gunah-e-jurat-e-tadbir kar raha hun main

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
gunāh-e-jur.at-e-tadbīr kar rahā huuñ maiñ
ye kis qimāsh kī taqsīr kar rahā huuñ maiñ
maiñ jāntā huuñ alāmat hai zo.af himmat kī
jise nasīb se ta.abīr kar rahā huuñ maiñ
abhī tadabbur-o-tadbīr kā nahīñ mauqa.a
abhī himāyat-e-taqdīr kar rahā huuñ maiñ
hujūm-e-hashr meñ kholūñgā adl kā daftar
abhī to faisle tahrīr kar rahā huuñ maiñ
javāb dene kī aadat nahīñ ḳhudā ko agar
to kyā parastish-e-tasvīr kar rahā huuñ maiñ
tabāh ho ke haqā.eq ke khurdure-pan se
tasavvurāt kī ta.amīr kar rahā huuñ maiñ
ḳhudā ke aage 'adam' zikr-e-azmat-e-insāñ
ġhalat maqām pe taqrīr kar rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com