faqīr kis darja shādmāñ the huzūr ko kuchh to yaad hogā
huzūr kis darja mehrbāñ the huzūr ko kuchh to yaad hogā
vo mai-kada thā sanam-kada thā ki bāb-e-jannat khule hue the
tamām shab aap ham kahāñ the huzūr ko kuchh to yaad hogā
vahāñ bahāroñ ke zamzame the vahāñ nigāroñ ke jamgaThe the
vahāñ sitāroñ ke kārvāñ the huzūr ko kuchh to yaad hogā
pahan ke phūloñ ke taaj sar par hasīn-o-shādāb masnadoñ par
subū-ba-kaf kaun hukmarāñ the huzūr ko kuchh to yaad hogā
marāhil-e-rāhat-o-amāñ the masā.il-e-māh-o-kahkashāñ the
mashāġhil-e-harf-o-dāstāñ the huzūr ko kuchh to yaad hogā
agarche shauq-o-talab the be-sāḳhta ham-āġhoshiyoñ pe maa.il
ka.ī takalluf bhī darmiyāñ the huzūr ko kuchh to yaad hogā
latīf shāmeñ tabī.atoñ ke zamīr se ḳhuub āshnā thiiñ
hasīñ savere mizāj-dāñ the huzūr ko kuchh to yaad hogā
nazar kī had tak muhīt thā silsila mahakte hue guloñ kā
guloñ meñ pariyoñ ke ghar nihāñ the huzūr ko kuchh to yaad hogā
ajiib sāñche kī kashtiyāñ bah rahī thiiñ lahroñ ke zer-o-bam par
ajiib sūrat ke bādbāñ the huzūr ko kuchh to yaad hogā
ulūhiyat aap is hasīñ ittifāq par muskurā rahī thī
sanam ḳhudāoñ ke mehmāñ the huzūr ko kuchh to yaad hogā
jo vāqiye the vo gūñjte zamzamoñ ke mānind maujzan the
jo ḳhvāb the sarv-e-bostāñ the huzūr ko kuchh to yaad hogā
kahīñ kahīñ salsabīl o kausar kī jot maujūd thī zamīñ par
kahīñ kahīñ arsh-o-āsmāñ the huzūr ko kuchh to yaad hogā
shab-e-mohabbat huzūr kī kākuloñ ke khulne ke silsile meñ
'adam' ke isrār kyā javāñ the huzūr ko kuchh to yaad hogā