bhūlī-bisrī bātoñ se kyā tashkīl-e-rūdād kareñ
ham ko to kuchh yaad nahīñ hai aap hī kuchh irshād kareñ
pahle-pahal jab aap kā joban itnā shahr-āshob na thā
ik mushtāq se sāda-dil insāñ kī parastish yaad kareñ
aap se mumkin hai dil-jūī yazdāñ kī ye riit nahīñ
jis ko sun kar chup rahnā hai us se kyā fariyād kareñ
ishq ne sauñpā hai kaam apnā ab to nibhānā hī hogā
maiñ bhī kuchh koshish kartā huuñ aap bhī kuchh imdād kareñ
juzv-e-tabī.at ban jaa.eñ to jaur karam ho jaate haiñ
lutf na ab raa.ij farmā.eñ sirf sitam ījād kareñ