Abdul Hamid Adam

muskura kar KHitab karte ho

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
muskurā kar ḳhitāb karte ho
ādateñ kyuuñ ḳharāb karte ho
maar do mujh ko rahm-dil ho kar
kyā ye kār-e-savāb karte ho
muflisī aur kis ko kahte haiñ!
daulatoñ kā hisāb karte ho
sirf ik iltijā hai chhoTī sī
kyā use bāryāb karte ho
ham to tum ko pasand kar baiThe
tum kise intiḳhāb karte ho
ḳhaar kī nok ko lahū de kar
intizār-e-gulāb karte ho
ye na.ī ehtiyāt dekhī hai
aa.ine se hijāb karte ho
kyā zarūrat hai bahs karne kī
kyuuñ kaleja kabāb karte ho
ho chukā jo hisāb honā thā
aur ab kyā hisāb karte ho
ek din ai 'adam' na pī to kyā
roz shaġhl-e-sharāb karte ho
kitne be-rahm ho 'adam' tum bhī
zikr-e-ahd-e-shabāb karte ho
ho kisī kī ḳhushī gar is meñ 'adam'
jurm kā irtikāb karte ho
Top Urdushayar.com