vo ahd-e-javānī vo ḳharābāt kā aalam
naġhmāt meñ Duubī huī barsāt kā aalam
allāh-re us zulf ke jāñ-baḳhsh añdhere
jaise ki mahakte hue zulmāt kā aalam
ai ra.asha-e-mastī kā sabab pūchhne vaale
dekhā hai kabhī pahlī mulāqāt kā aalam
nikle the mire saath vo jab bazm-e-azal se
kuchh sub.h ke āsār the kuchh raat kā aalam
yuuñ us kī javānī kā kuchh andāza thā jaise
mai-ḳhāne pe umDī huī barsāt kā aalam
āñkhoñ ke tasādum meñ hikāyāt kī duniyā
hoñToñ ke tasādum meñ ḳharābāt kā aalam
āvāz meñ kaliyoñ ke chaTakne kī latāfat
raftār meñ bahte hue naġhmāt kā aalam
hañstī huī āñkhoñ se savālāt kī bārish
jalte hue hoñToñ meñ javābāt kā aalam
kuchh mujh ko ḳhabar thī na unheñ hosh thā apnā
allāh-re mad-hoshī o jazbāt kā aalam
āñkhoñ meñ shafaq jism meñ mai zulf meñ ThanDak
aalam bhī vo aalam ki ḳharābāt kā aalam
anfās se aatī huī ik narm sī ḳhushbū
simTā huā hoñToñ meñ mudārāt kā aalam
vo chiiz jise zindagī kahte haiñ vo kyā hai
hañste hue shaffāf ḳhayālāt kā aalam
baiThā huuñ 'adam' le ke baḌī der se dil meñ
kahte haiñ jise harf-o-hikāyāt kā aalam