ek dilkash zahr se labrez paimāne kā naam
zindagī kyā hai ḳhushī se jal ke mar jaane kā naam
aql hai bil-maslahat be-ai.tmādi kī ravish
ishq hai be-sāḳhta īmān le aane kā naam
āgahī kyā hai musalsal ḳhud-farebī kā chalan
raushnī kyā hai fareb mustaqil khāne kā naam
ḳhāmushī uryānī-e-mafhūm kā tābish-kada
guftugū māshūq ko malbūs pahnāne kā naam
ab mujhe dār-o-rasan kī samt muḌne dījiye
aap ne ḳhud to chunā thā mere afsāne kā naam
ḳhvāhishoñ kī ibtidā ġhunche chaTaḳhne kī sadā
ḳhvāhishoñ kī intihā phūloñ ke murjhāne kā naam
dost-dārī kā ye pairāya bhī kyā dilchasp hai
le rahe haiñ sāmne mere vo begāne kā naam
haiñ 'adam' ke zikr par kyoñ aap itne pur-ġhazab
sham.a ke hamrāh aa jaatā hai parvāne kā naam