Abdul Hamid Adam

saqi sharab la ki tabiat udas hai

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
saaqī sharāb lā ki tabī.at udaas hai
mutrib rubāb uThā ki tabī.at udaas hai
ruk ruk ke saaz chheḌ ki dil mutma.in nahīñ
tham tham ke mai pilā ki tabī.at udaas hai
chubhtī hai qalb o jaañ meñ sitāroñ kī raushnī
ai chāñd Duub jā ki tabī.at udaas hai
mujh se nazar na pher ki barham hai zindagī
mujh se nazar milā ki tabī.at udaas hai
shāyad tire laboñ kī chaTak se ho jī bahāl
ai dost muskurā ki tabī.at udaas hai
hai husn kā fusūñ bhī ilāj-e-fasurdagī
ruḳh se naqāb uThā ki tabī.at udaas hai
maiñ ne kabhī ye zid to nahīñ kī par aaj shab
ai mah-jabīñ na jā ki tabī.at udaas hai
imshab gurez-o-ram kā nahīñ hai koī mahal
āġhosh meñ dar aa ki tabī.at udaas hai
kaifiyyat-e-sukūt se baḌhtā hai aur ġham
qissa koī sunā ki tabī.at udaas hai
yūñhī durust hogī tabī.at tirī 'adam'
kam-baḳht bhuul jā ki tabī.at udaas hai
tauba to kar chukā huuñ magar phir bhī ai 'adam'
thoḌā sā zahr lā ki tabī.at udaas hai
Top Urdushayar.com