Abdul Hamid Adam

tahi sa jam to tha gir ke bah gaya hoga

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
tahī sā jaam to thā gir ke bah gayā hogā
mirā nasīb azal meñ hī rah gayā hogā
hai ahrman se na ma.alūm kyuuñ ḳhafā yazdāñ
ġharīb koī kharī baat kah gayā hogā
ham aur log haiñ ham se bahut ġhurūr na kar
kalīm thā jo tirā naaz sah gayā hogā
qarīb-e-ka.aba pahuñch kar 'adam' ko mat DhūñDo
vo hīla-jū kahīñ raste meñ rah gayā hogā
Top Urdushayar.com