ek nā-maqbūl qurbānī huuñ maiñ
sar-phirī ulfat meñ lā-sānī huuñ maiñ
maiñ chalā jaatā huuñ vaañ taklīf se
vo samajhte haiñ ki lā-sānī huuñ maiñ
kaan dharte hī nahīñ vo baat par
kab se masrūf-e-sanā-ḳhvānī huuñ maiñ
zindagī hai ik kirā.e kī ḳhushī
sūkhte tālāb kā paanī huuñ maiñ
mujh se baḌh kar kyā koī hogā amiir
qīmtī virse kī arzānī huuñ maiñ
chāñdnī rātoñ meñ yāroñ ke baġhair
chāñdnī rātoñ kī vīrānī huuñ maiñ
kahnā sunñā un se mujh ko kuchh nahīñ
sirf ik tamhīd-e-tūlānī huuñ maiñ
mujh ko pachhtānā nahīñ aatā 'adam'
ek daulat-mand nādānī huuñ maiñ