Abdul Hamid Adam

gham-e-mohabbat sata raha hai gham-e-zamana masal raha hai

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
ġham-e-mohabbat satā rahā hai ġham-e-zamāna masal rahā hai
magar mire din guzar rahe haiñ magar mirā vaqt Tal rahā hai
vo abr aayā vo rañg barse vo kaif jaagā vo jaam khanke
chaman meñ ye kaun aa gayā hai tamām mausam badal rahā hai
mirī javānī ke garm lamhoñ pe Daal de gesuoñ kā saaya
ye dopahar kuchh to mo.atadil ho tamām māhaul jal rahā hai
ye bhīnī bhīnī sī mast ḳhushbū ye halkī halkī sī dil-nashīñ bū
yahīñ kahīñ terī zulf ke paas koī parvāna jal rahā hai
na dekh o mah-jabīñ mirī samt itnī mastī-bharī nazar se
mujhe ye mahsūs ho rahā hai sharāb kā daur chal rahā hai
'adam' ḳharābāt kī sahar hai ki bārgāh-e-rumūz-e-hastī
idhar bhī sūraj nikal rahā hai udhar bhī sūraj nikal rahā hai
Top Urdushayar.com