duā.eñ de ke jo dushnām lete rahte haiñ
vo jaam dete haiñ aur jaam lete rahte haiñ
ḳhafā na ho ki hamārā qusūr koī nahīñ
bilā-irāda tirā naam lete rahte haiñ
hujūm-e-ġham meñ tirā naam bhuul bhī jaa.e
to phir bhī jaise tirā naam lete rahte haiñ
ye naam aisā hai bilkul hī gar na leñ us ko
to phir bhī ham sahar-o-shām lete rahte haiñ
tirī nigāh kā kyā qarz ham utāreñge
tirī nazar se baḌe kaam lete rahte haiñ
maiñ vo musāfir-e-raushan-ḳhayāl huuñ yaaro
jo rāste meñ bhī ārām lete rahte haiñ
ġham-e-hayāt kī ta.alīm-o-tarbiyat ke liye
tirī nigāh ke ahkām lete rahte haiñ
paḌī hai yuuñ hameñ bad-nāmiyoñ kī chaaT 'adam'
ki muskurā ke har ilzām lete rahte haiñ