Abdul Hamid Adam

mai-KHana-e-hasti mein aksar hum apna Thikana bhul gae

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
mai-ḳhāna-e-hastī meñ aksar ham apnā Thikāna bhuul ga.e
yā hosh meñ jaanā bhuul ga.e yā hosh meñ aanā bhuul ga.e
asbāb to ban hī jaate haiñ taqdīr kī zid ko kyā kahiye
ik jaam to pahuñchā thā ham tak ham jaam uThānā bhuul ga.e
aa.e the bikhere zulfoñ ko ik roz hamāre marqad par
do ashk to Tapke āñkhoñ se do phuul chaḌhānā bhuul ga.e
chāhā thā ki un kī āñkhoñ se kuchh rañg-e-bahārāñ le liije
taqrīb to achchhī thī lekin do aañkh milānā bhuul ga.e
ma.alūm nahīñ ā.īne meñ chupke se hañsā thā kaun 'adam'
ham jaam uThānā bhuul ga.e vo saaz bajānā bhuul ga.e
Top Urdushayar.com