Abdul Hamid Adam

wo abru yaad aate hain wo mizhgan yaad aate hain

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
vo abrū yaad aate haiñ vo mizhgāñ yaad aate haiñ
na pūchho kaise kaise tīr-o-paikāñ yaad aate haiñ
vo jin ke tahat jhuk jaatā thā sar asnām ke aage
vahī bhūle hue ahkām-e-yazdāñ yaad aate haiñ
jo akasr bār-var hone se pahle TuuT jaate the
vahī ḳhasta shikasta ahd-o-paimāñ yaad aate haiñ
vo marmar kī tarah shaffāf aur hañste hue a.azā
hayāt-e-jāvidāñ ke sāz-o-sāmāñ yaad aate haiñ
gumāñ hotā hai vahshī nik.hatoñ ne bheñch Daalā hai
kuchh itne be-mahābā sumbulistāñ yaad aate haiñ
vo gul-andāz jin kā ḳhalq sarmāya thā jiine kā
vo ban ban kar charāġh-e-mahfil jaañ yaad aate haiñ
ḳhayāl aatā hai jab bhī dilbaroñ kī ham-nashīnī kā
talātum rañg ke ḳhushbū ke tūfāñ yaad aate haiñ
uḌī phirtī thī bosoñ kī chaTak jin kī fazāoñ meñ
vo ehsāsāt meñ Duube shabistāñ yaad aate haiñ
faqīh-o-shaiḳh ke zehnoñ meñ but hoñge ḳhudāoñ ke
maiñ insāñ huuñ mujhe to sirf insāñ yaad aate haiñ
piyāla shaam ko rakhtā huuñ jab bhī maiñ 'adam' aage
javāñ ham-joliyoñ ke rū-e-ḳhandāñ yaad aate haiñ
Top Urdushayar.com