kyā sar-e-tahrīr hai aur kyā pas-e-tahrīr dekh
ya.anī har ik taḳhrīb ke parde meñ ik tasvīr dekh
thī har ik taḳhrīb ke parde meñ ik ta.amīr dekh
ġhaur se maazī meñ apne haal kī tasvīr dekh
kaun pāband-e-vafā hai kaun hai nañg-e-vafā
sham.a kī āġhosh meñ parvāne kī taqdīr dekh
ban gayā hai aaj kī tahzīb kā ye aa.ina
har badī kī nekiyoñ ke naam se tash.hīr dekh
dekhnā hī hai to tinkā dekh apnī aañkh kā
dūsre kī aañkh kā ai dost mat shahtīr dekh
vaqt kī hotī haiñ 'ġhāzī' sab karishma-sāziyāñ
munkir-e-taqdīr ko bhī mā.il-e-taqdīr dekh