Abdul Hamid Adam

tauba ka takalluf kaun kare haalat ki niyyat Thik nahin

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
tauba kā takalluf kaun kare hālāt kī niyyat Thiik nahīñ
rahmat kā irāda bigḌā hai barsāt kī niyyat Thiik nahīñ
ai sham.a bachānā dāman ko ismat se mohabbat arzāñ hai
ālūda-nazar parvānoñ ke jazbāt kī niyyat Thiik nahīñ
kal qat.a ta.alluq kar lenā is vaqt to duniyā merī hai
ye raat kī qasmeñ jhūTī haiñ ye raat kī niyyat Thiik nahīñ
aisā nazar aatā hai jaise ye shai mujhe pāgal kar degī
thoḌī sī tavajjoh bar-haq hai bohtāt kī niyyat Thiik nahīñ
raftār-e-zamāna kā lahja saffāk dikhā.ī detā hai
bar-vaqt koī tadbīr karo āfāt kī niyyat Thiik nahīñ
mai-ḳhāne kī rasm-o-rāh meñ bhī ho jaa.e na shāmil khoT kaheñ
ḳhuddām fareb-āmāda haiñ ḳhidmāt kī niyyat Thiik nahīñ
thoḌā sā kaḌā gar dil ko karūñ ādāt badal to saktī haiñ
par asl musībat to ye hai ādāt kī niyyat Thiik nahīñ
Dartā huuñ 'adam' phir aaj kahīñ sho.ala na uThe bijlī na gire
barbat kī tabī.at uljhī hai naġhmāt kī niyyat Thiik nahīñ
Top Urdushayar.com