Abdul Hamid Adam

matlab muamalat ka kuchh pa gaya hun main

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
matlab muāmalāt kā kuchh pā gayā huuñ maiñ
hañs kar fareb-e-chashm-e-karam khā gayā huuñ maiñ
bas intihā hai chhoḌiye bas rahne dījiye
ḳhud apne e'timād se sharmā gayā huuñ maiñ
saaqī zarā nigāh milā kar to dekhnā
kambaḳht hosh meñ to nahīñ aa gayā huuñ maiñ
shāyad mujhe nikāl ke pachhtā rahe hoñ aap
mahfil meñ is ḳhayāl se phir aa gayā huuñ maiñ
kyā ab hisāb bhī tū mirā legā hashr meñ
kyā ye itaab kam hai yahāñ aa gayā huuñ maiñ
maiñ ishq huuñ mirā bhalā kyā kaam daar se
vo shar.a thī jise vahāñ laTkā gayā huuñ maiñ
niklā thā mai-kade se ki ab ghar chalūñ 'adam'
ghabrā ke sū-e-mai-kada phir aa gayā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com