aaj phir ruuh meñ ik barq sī lahrātī hai
dil kī gahrā.ī se rone kī sadā aatī hai
yuuñ chaTaktī haiñ ḳharābāt meñ jaise kaliyāñ
tishnagī sāġhar-e-labrez se Takrātī hai
shola-e-ġham kī lapak aur mirā nāzuk sā mizāj
mujh ko fitrat ke ravayye pe hañsī aatī hai
maut ik amr-e-musallam hai to phir ai saaqī
ruuh kyuuñ ziist ke ālām se ghabrātī hai
so bhī jā ai dil-e-majrūh bahut raat ga.ī
ab to rah rah ke sitāroñ ko bhī niiñd aatī hai
aur to dil ko nahīñ hai koī taklīf 'adam'
haañ zarā nabz kisī vaqt Thahar jaatī hai