Abdul Hamid Adam

mujhse chunan-chunin na karo main nashe main hun

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
mujh se chunāñ-chunīñ na karo maiñ nashe maiñ huuñ
maiñ jo kahūñ nahīñ na karo maiñ nashe meñ huuñ
insāñ nashe meñ ho to vo chhuptā nahīñ kabhī
har-chand tum yaqīñ na karo maiñ nashe meñ huuñ
ye vaqt hai farāḳh-dilī ke sulūk kā
tañg apnī āstīñ na karo maiñ nashe meñ huuñ
be-iḳhtiyār chuum na luuñ maiñ kahīñ inheñ
āñkhoñ ko ḳhashmagīñ na karo maiñ nashe meñ huuñ
har-chand mere haq meñ hai ye rahmat-e-ḳhudā
āñchal mire qarīñ na karo maiñ nashe meñ huuñ
nashshe meñ surḳh rañg tahī-az-ḳhatar nahī.?
hoñToñ ko ahmarīñ na karo maiñ nashe meñ huuñ
dekho maiñ kah rahā huuñ tumheñ pai-ba-pai 'adam'
mujh ko bahut hazīñ na karo maiñ nashe meñ huuñ
Top Urdushayar.com