Abdul Hamid Adam

un ko ahd-e-shabab mein dekha

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
un ko ahd-e-shabāb meñ dekhā
chāñdnī ko sharāb meñ dekhā
aañkh kā e'tibār kyā karte
jo bhī dekhā vo ḳhvāb meñ dekhā
daaġh sā māhtāb meñ paayā
zaḳhm sā āftāb meñ dekhā
jaam lā kar qarīb āñkhoñ ke
aap ne kuchh sharāb meñ dekhā
kis ne chheḌā thā sāz-e-mastī ko?
ek sho.ala rubāb meñ dekhā
log kuchh mutma.in bhī the phir bhī
jis ko dekhā azaab meñ dekhā
hijr kī raat so ga.e the 'adam'
sub.h-e-mahshar ko ḳhvāb meñ dekhā
Top Urdushayar.com