Abdul Hamid Adam

dil Dub na jaen pyason ke taklif zara farma dena

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
dil Duub na jaa.eñ pyāsoñ ke taklīf zarā farmā denā
ai dost kisī mai-ḳhāne se kuchh ziist kā paanī lā denā
tūfān-e-havādis se pyāre kyuuñ itnā pareshāñ hotā hai
āsār agar achchhe na hue ik sāġhar-e-mai chhalkā denā
zulmāt ke jhurmuT vaise to bijlī kī chamak se Darte haiñ
par baat agar kuchh baḌh jaa.e tāroñ se subū Takrā denā
ham hashr meñ aate to un kī tash.hīr kā baa.is ho jaate
tash.hīr se bachne vāloñ ko ye baat zarā samjhā denā
maiñ pairahan-e-hastī meñ bahut uryāñ sā dikhā.ī detā huuñ
ai maut mirī uryānī ko malbūs-e-'adam' pahnā denā
Top Urdushayar.com