Abdul Hamid Adam

ai saqi-e-mah-wash gham-e-dauran nahin uThta

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
ai sāqi-e-mah-vash ġham-e-daurāñ nahīñ uThtā
darvesh ke hujre se ye mehmāñ nahīñ uThtā
kahte the ki hai bār-e-do-ālam bhī koī chiiz
dekhā hai to ab bār-e-garebāñ nahīñ uThtā
kyā mere safīne hī kī dariyā ko khaTak thī
kyā baat hai ab kyuuñ koī tūfāñ nahīñ uThtā
kis naqsh-e-qadam par hai jhukā roz-e-azal se
kis vahm meñ sajde se bayābāñ nahīñ uThtā
be-himmat-e-mardāna masāfat nahīñ kaTtī
be-azm-e-musammam qadam āsāñ nahīñ uThtā
yuuñ uThtī haiñ añgḌā.ī ko vo marmarīñ bāñheñ
jaise ki 'adam' taḳht-e-sulaimāñ nahīñ uThtā
Top Urdushayar.com