jumbish-e-kākul-e-mahbūb se din Dhaltā hai
haa.e kis ḳhūbi-e-uslūb se din Dhaltā hai
pheñk kulfat-zada sūraj pe bhī chhīñTe us ke
jis mai-e-dilkash-o-marġhūb se din Dhaltā hai
koshish-e-banda-e-dānā nahīñ kāmil hotī
sohbat-e-banda-e-majzūb se din Dhaltā hai
mehr ke valvala-e-rāst se pau phaTtī hai
mehr ke jazba-e-maqlūb se din Dhaltā hai
sāqiyā ek 'adam' ko bhī phurerī us kī
jis khanakte hue mashrūb se din Dhaltā hai