ḳhush huuñ ki zindagī ne koī kaam kar diyā
mujh ko supurd-e-gardish-e-ayyām kar diyā
saaqī siyāh-ḳhāna-e-hastī meñ dekhnā
raushan charāġh kis ne sar-e-shām kar diyā
pahle mire ḳhulūs ko dete rahe fareb
āḳhir mire ḳhulūs ko badnām kar diyā
kitnī duā.eñ duuñ tirī zulf-e-darāz ko
kitnā vasī.a silsila-e-dām kar diyā
vo chashm-e-mast kitnī ḳhabar-dār thī 'adam'
ḳhud hosh meñ rahī hameñ badnām kar diyā