Abdul Hamid Adam

KHairaat sirf itni mili hai hayat se

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
ḳhairāt sirf itnī milī hai hayāt se
paanī kī buuñd jaise atā ho furāt se
shabnam isī junūñ meñ azal se hai sīna-kūb
ḳhurshīd kis maqām pe miltā hai raat se
nāgāh ishq vaqt se aage nikal gayā
andāza kar rahī hai ḳhirad vāqi.āt se
sū-e-adab na Thahre to deñ koī mashvara
ham mutma.in nahīñ haiñ tirī kā.enāt se
sākit raheñ to ham hī Thaharte haiñ bā-qusūr
boleñ to baat baḌhtī hai chhoTī sī baat se
āsāñ-pasandiyoñ se ijāzat talab karo
rasta bharā huā hai 'adam' mushkilāt se
Top Urdushayar.com