Yunus Ghazi

KHun-e-tamanna rang laya ho aisa bhi ho sakta hai

Yunus Ghazi

Banaras, Uttar pradesh, India

1953

ḳhūn-e-tamannā rañg laayā ho aisā bhī ho saktā hai

tanhā.ī meñ vo royā ho aisā bhī ho saktā hai

sab ke chehre par chehra thā maiñ kis ko apnā kahtā

koī mujhe bhī DhūñD rahā ho aisā bhī ho saktā hai

jis ne merā ghar luTne meñ choroñ aguvā.ī

vo merā ham-sāya ho aisā bhī ho saktā hai

mahfil hai añgusht-ba-dandāñ ahl-e-nazar par riqqat taarī

sher karishma kar gayā ho aisā bhī ho saktā hai

bhiiḌ meñ us ko maiñ ne dekhā dekh liyā thā us ne bhī

phir nazroñ dhokā ho aisā bhī ho saktā hai

daulat shohrat aanī jaanī phir is par itrānā kyā

paanī par ye naam likhā ho aisā bhī ho saktā hai

apnī kahānī jaan ke yaaro nāhaq aañkh bhigote ho

us ġham bhī tum jaisā ho aisā bhī ho saktā hai

vaqt dhuup kaḌī hai 'ġhāzī' dānāoñ bastī meñ

barf chehra sulag rahā ho aisā bhī ho saktā hai

Top Urdushayar.com