Yunus Ghazi

bataun main tumhein aankhon mein aansu ya lahu kya hai

Yunus Ghazi

Banaras, Uttar pradesh, India

1953
batā.ūñ maiñ tumheñ āñkhoñ meñ aañsū yā lahū kyā hai
kabhī ai kaash tum pūchho ki merī aarzū kyā hai
maiñ terī āhaTeñ paatā huuñ kaliyoñ ke chaTakne meñ
gulistāñ meñ ba-juz jalvoñ ke tere rañg-o-bū kyā hai
usī ko dard kahtā hai usī ko dard kā darmāñ
nahīñ ye ishq to ai dil batā phir justujū kyā hai
safā.ī pesh karte ho jo apnī tauba-shikanī kī
batāo phir tumhāre haath meñ jām-o-subū kyā hai
dar-e-ka.aba ho pā-e-nāz ho sar rakh diyā ham ne
kahāñ ye shauq-e-sajda dekhtā hai rū-ba-rū kyā hai
mujhe bhī āḳhirash taslīm to ik roz karnā hai
agar kuchh bhī nahīñ huuñ maiñ to phir ye tū hī tū kyā hai
zamāne meñ to 'ġhāzī' naam hai mash.hūr ik be-shak
magar ḳhud kī nazar meñ pūchhiye ki aabrū kyā hai
Top Urdushayar.com