log sub.h o shaam kī nairañgiyāñ dekhā kiye
aur ham chup-chāp maazī ke nishāñ dekhā kiye
aql to kartī rahī dāmān-e-hastī chaak chaak
ham magar dast-e-junūñ meñ dhajjiyāñ dekhā kiye
ḳhanjaroñ kī thī numā.ish har galī har moḌ par
aur ham kamre meñ tasvīr-e-butāñ dekhā kiye
ham tan-āsānī ke ḳhūgar DhūñDte manzil kahāñ
duur hī se gard-e-rāh-e-kārvāñ dekhā kiye
ham ko is kī kyā ḳhabar gulshan kā gulshan jal gayā
ham to apnā sirf apnā āshiyāñ dekhā kiye
mausam-e-parvāz ne 'najmī' pukārā thā magar
par sameTe ham qafas kī tīliyāñ dekhā kiye