Yunus Ghazi

qaid-e-ulfat ka maza zulf-e-girah-gir mein hai

Yunus Ghazi

Banaras, Uttar pradesh, India

1953
qaid-e-ulfat kā maza zulf-e-girah-gīr meñ hai
bas yahī rañg mire ḳhvāb kī ta.abīr meñ hai
mīThī mīThī sī kasak us ke bhī dil meñ hogī
halkī halkī sī khanak paañv kī zanjīr meñ hai
us ko tahqīr kī nazroñ se na dekho yaaro
rañg kirdār kā pinhāñ mirī tasvīr meñ hai
kū-ba-kū ek tajassus liye phirtā hai mujhe
ab ye daryūza-garī hī mirī taqdīr meñ hai
ḳhuun ro detā agar tujh pe ayaañ ho jaatā
tū ne samjhā hī kyā jo kuchh mirī tahrīr meñ hai
tum bhī 'ġhāzī' kī tarah dil ke evaz jaañ de do
ishq-e-kāmil kā maza bas isī tadbīr meñ hai
Top Urdushayar.com