tumhārī justujū kī hai vahāñ tak
nahīñ pahuñche jahāñ vahm-o-gumāñ tak
jo rishte the hamāre darmiyāñ tak
vo le aa.e hameñ ab imtihāñ tak
mohabbat meñ maqām aayā hai kaisā
ayaañ hone ko hai rāz-e-nihāñ tak
nahīñ miltā tirā saanī kahīñ bhī
nazar pahuñchī hai apnī kahkashāñ tak
palaT kar jab kabhī dekhā to samjhā
kahāñ se aa ga.e haiñ ham kahāñ tak
sambhal kar baat kiije shaiḳh-jī se
rasā.ī un kī hai pīr-e-muġhāñ tak
TaTolā hai unhoñ ne dil ko aksar
magar pahuñche nahīñ dard-e-nihāñ tak
nazar aatā hai bas jalva usī kā
pahuñchtī hai nazar apnī jahāñ tak
ye fasl-e-gul ye bulbul kī asīrī
haiñ fariyādī qafas kī titliyāñ tak
yaqīnan qābil-e-azmat hai 'ġhāzī'
na uf kī sun ke us ne gāliyāñ tak