paas hote hue judā kyuuñ hai
is qadar ham se vo ḳhafā kyuuñ hai
tauba kar lī jab us ne piine se
jānib-e-mai-kada gayā kyuuñ hai
nik.hat-e-gul chaman meñ hai maujūd
jaane āvāra phir sabā kyuuñ hai
mujh pe jaur-o-sitam hī achchhe the
mehrbāñ ab vo bevafā kyuuñ hai
haiñ sabhī par tumhāre mehr-o-karam
mujh pe lekin sitam ravā kyuuñ hai
zulf bikhrī hai shaam se pahle
ye adā kyā hai ye adā kyuuñ hai
tālib-e-dīd kab se hai 'ġhāzī'
vo hijābāt meñ chhupā kyuuñ hai