Moid Rashidi

ek hangama shab-o-roz bapa rahta hai

Moid Rashidi

Kolkata, West Bengal, India

1988
ek hañgāma shab-o-roz bapā rahtā hai
ḳhāna-e-dil meñ nihāñ jaise ḳhudā rahtā hai
mere andar hī koī jañg chhaḌī hai shāyad
mere andar hī koī dasht-e-balā rahtā hai
jab bhī nazdīk se mahsūs kiyā hai ḳhud ko
maiñ ne dekhā hai koī mujh se ḳhafā rahtā hai
ham to ābād jazīroñ se guzar jaate haiñ
aur phir duur talak ek ḳhalā rahtā hai
ḳhāmushī kā pas-e-dīvār-e-junūñ hai saaya
is taraf silsila-e-āh-o-bukā rahtā hai
Top Urdushayar.com