Moid Rashidi

fasil-e-shahr se kyun sab ke sab nikal aae

Moid Rashidi

Kolkata, West Bengal, India

1988
fasīl-e-shahr se kyuuñ sab ke sab nikal aa.e
hameñ ḳhabar na huī jaane kab nikal aa.e
qadam qadam pe yahāñ qahqahe bichhe hue haiñ
ye kaise shahr meñ ham be-sabab nikal aa.e
vo raushnī meñ nahāyā huā tasavvur thā
añdherā baḌhtā gayā dast-e-shab nikal aa.e
ab is se pahle ki rusvā.ī apne ghar aatī
tumhāre shahr se ham bā-adab nikal aa.e
phir ek lamhe ko Thahrā nahīñ gayā ham se
hamāre dil ne kahā ab, to ab nikal aa.e
Top Urdushayar.com