Moid Rashidi

aankhon mein shab utar gai KHwabon ka silsila raha

Moid Rashidi

Kolkata, West Bengal, India

1988
āñkhoñ meñ shab utar ga.ī ḳhvāboñ kā silsila rahā
maiñ ḳhud ko dekhtā rahā maiñ ḳhud ko sochtā rahā
ḳhud ko pukārtā rahā, koī ḳhabar nahīñ milī
kis kī ḳhabar nahīñ milī, kis ko pukārtā rahā
us kī talāsh hī na thii, apnī talāsh bhī na thī
khone kā ḳhauf kuchh na thaa, phir kaisā fāsla rahā
kuchh mas.ale to ghar ga.e, kuchh mas.ale bikhar ga.e
sab mas.ale guzar ga.e aur ek mas.ala rahā
vo bhī bikhar bikhar gayā maiñ bhī idhar udhar gayā
vo bhī dhuāñ dhuāñ sā kuchh maiñ bhī ġhubār sā rahā
lafzoñ kī shāḳheñ phail kar mere lahū se aa milīñ
kuchh qahqahe uchhal ga.e aur koī chīḳhtā rahā
Top Urdushayar.com