Tabish Kamal

yaqin se jo guman ka fasla hai

Tabish Kamal

yaqīñ se jo gumāñ kā fāsla hai
zamīñ se āsmāñ kā fāsla hai
havā-paimā.ī kī ḳhvāhish hai itnī
ki jitnā bādbāñ kā fāsla hai
ḳhayālāt is qadar haiñ muḳhtalif kyuuñ
hamāre darmiyāñ kā fāsla hai
koī iz.hār kar saktā hai kaise
ye lafzoñ se zabāñ kā fāsla hai
maiñ us tak kis tarah pahuñchūñgā 'tābish'
yahāñ se is jahāñ kā fāsla hai
Top Urdushayar.com