ye shahr āfatoñ se to ḳhālī koī na thā
jab ham saḳhī hue to savālī koī na thā
likkhā hai dāstāñ meñ ki gulshan ujaḌte vaqt
gulchīñ be-shumār the maalī koī na thā
us dasht meñ mirā hī hayūlā thā har taraf
maiñ ne hī sham-e-ishq jalā lī koī na thā
jalse ujaḌ ga.e the kisī ḳhud-fareb ke
ḳhud hī bajā rahā thā vo taalī koī na thā
'tābish' har ek dil meñ sharāre the qahr ke
ho paas jis ke soz-e-bilālī koī na thā