hamārā Dūbnā mushkil nahīñ thā
nazar meñ duur tak sāhil nahīñ thā
kahāñ thā guftugū karte hue vo
vo thā bhī to sar-e-mahfil nahīñ thā
maiñ us ko sab se behtar jāntā huuñ
jise merā pata hāsil nahīñ thā
zamāne se alag thī merī duniyā
maiñ us kī dauḌ meñ shāmil nahīñ thā
vo patthar bhī thā kitnā ḳhūb-sūrat
jo ā.īna thā lekin dil nahīñ thā
ham us dhartī ke bāshinde the 'tābish'
ki jis kā koī mustaqbil nahīñ thā