kyā kahūñ vo kidhar nahīñ rahtā
haañ magar is nagar nahīñ rahtā
tū ho terā ḳhayāl ho yā ḳhvāb
koī bhī raat bhar nahīñ rahtā
jab sukūñ hī na de sake to phir
ghar kisī taur ghar nahīñ rahtā
jis ghaḌī chāho tum chale aao
maiñ koī chāñd par nahīñ rahtā
yuuñ to apnī bhī justujū hai mujhe
tujh se bhī be-ḳhabar nahīñ rahtā
dil-figāroñ ke shahr meñ 'tābish'
ek bhī baḳhiya-gar nahīñ rahtā