maiñ koī dasht maiñ dīvār nahīñ kar saktā
shahr ab mujh pe kabhī vaar nahīñ kar saktā
maiñ nahīñ chāhtā har dam tirī yādoñ kā hujūm
apnī tanhā.ī meñ darbār nahīñ kar saktā
terā ġham ho ki ġham-e-dahr uThāne meñ hai kyā
kaam kyā hai jo ye bīmār nahīñ kar saktā
ik imārat mire andar huī mismār to ab
kyā mujhe vaqt sar-e-dār nahīñ kar saktā
apnī qīmat mujhe mālūm hai darbār-e-suḳhan
terī qīmat pe ye bāzār nahīñ kar saktā